The Last Leaf | class 9 Summary in Hindi | The last Leaf Summary in Hindi


'The Last Leaf' Class 9 Summary in Hindi


Introduction: 'The Last Leaf' Story class 9 in Hindi

'The Last Leaf' class 9 ki English book moment ki Ek Kahani hai. Isse O. Henry ne likha hai. Iss article me aapko detailed summary milega. Yah aapko 'The Last Leaf' class 9 ke iss chapter ko aasani se samajhne me madad karega. Chaliye isse shuru karte hain. 


About Author in Hindi: 'The Last Leaf' Story Class 9


Class 9 ki kahani 'The Last Leaf' O. Henry dwara likhi gayi hai. O. Henry ka asli naam William Sydney Porter hai. Unka janm 11 sep 1862 ko hua tha. Aur 5 june 1910 ko unki mrityu ho gayi. Unki adhikansh unka ek anutha aur alag mor par khatam hota hai. Yah unki kahani ko aur adhik lokpriya banata hai. Unki likhi adhikansh kahaniya aam logo ke dainik jiwan se prerit hai. Unki sabse prasiddh kahaniyo me se "The Gift of Maggie", "Mammon and the Archer", "Memories of a Yellow Dog", etc. hai.


Theme : 'The Last Leaf'  Story class 9 in Hindi


'The Last Leaf' do dosto ki kahani hai, jisme ek bimar thi. Wo bimari se ubarne ko taiyaar nahi thi. Yah kahani dikhati hai ki kaise uska dost aur ek budha aadmi 'Behrman' bimari se ubarne me chupke se madad karta hai. Iss kahani ka main theme friendship hai. Sacrifice aur hope bhi iss kahani par apna prabhav dikhate hain. 

the last leaf story the last leaf by o henry the last leaf class 9 questions and answers the last leaf analysis the last leaf class 9 summary the last leaf story summary the last leaf the last leaf class 9 the last leaf summary
 The Last Leaf | The Last Leaf  Story class 9 Summary in Hindi 


'The Last Leaf'  Story Class 9 Summary in Hindi

'The Last Leaf', 'Sue' aur 'Johnsy' ke naam ke do yuva kalakaro ki kahani hai. Dono kaafi karibi dost the aur ek purane ghar ki eesri manzil par sath rahte the.

Yeh november ka samay tha jab 'Johnsy' pneumonia namak bimari se sankramit ho gayi thi aur bahot kamzor ho gayi thi. Wah apne bistar par hil bhi nahi pa rahi thi. Doctor uski ilaaz ke liye aate the par uski halat me sudhar nahi ho pa rahi thi. Aur din ba din bahot kharab hoti ja rahi thi. Ek din doctor ne 'Sue' ko bataya ki Johnsy apne bimari se theek nahi hona chahti hai aur wah apne mrityu ki pratiksha kar rahi hai. Aur apni nakaratmak soch ke karan wah bimari se ubhar nhi pa rahi hai. Agar wah isse jari rakhegi toh dawa bhi usse nahi bacha sakegi. doctor se Johnsy ke bare me sunne ke baad Sue ne usse khus karne ki bahot koshis ki. Usne painting, fashion-designing aur anya pasandida activity ke baare me baat karna shuru kar diya par iska Johnsy par koi asar nahi para.

 Kuch der baad achanak Sue ne 12,11.....9 jaisi ginti ki kuchh fusfusahat ki aawaz suni. Wah Johnsy ki bedroom me aayi. Usne dekha ki Johnsy hi wo ginti kar rahi thi, usne Jhonsy se iss baare me puchha. Ispar Johnsy ne purane Ivy ki latayo ki oar ishara kiya jo khirki ke thik bahar tha. Uss paudhe se kuch hi patte jure hue the. Bare aatm-vishwas ke sath Johnsy ne Sue se kaha ki wah mar jayegi jab uss lata se uski aakhiri patta gir jayega. Usne yah bhi kaha ki uske jiwan me sirf 3 din bache hain kyunki paudhe me kewal kuch hi patte bache the. Sue ne Johnsy ko samjhane kikosis ki , ki uss paudhe ki pattiyon ke girne ka uske jiwan se koi sambandh nahi hai. Lekin Johnsy samajh nhi pa rahi thi. Uske baad Sue ek budhe insaan 'Bahrman' se milne gayi. Bahrman ussi building ke ground floor par rahte the. Aur unki mrityu se pahle ek maserpiece drawing banane ka sapna tha. Sue ne usse Johnsy ke bare me aur aakhiri patta girne par uski viswash ke bare me bataya. 

Agle din jab Johnsy jagi toh dekha ki uss paudhe par kewal ek patta bacha tha. Bahot barfilla thand ka mausam tha aur bahar bahot baarish ho rahi thi. Usne socha ki patta kisi bhi chhan gir jayega. Lekin kuchh samay baad wah aakhiri patta ke girne ka intezaar karte karte thak jati hai. Lekin wah patta nahi gira. Tab usse pata chalta hai ki maut ke bare me sochna aur jindagi ki larai me haar maan jana, ek paap hai. Wah abhi bhi bimari se bach sakti hai jaise wah aakhiri patta bhari baarish aur toofan me bach gaya tha. Ab wah iss bimari se bachna tatha theek hona chahti thi. Agle din check-up ke baad doctor ne unhe bataya ki Johnsy ab bach jayegi aur puri tarah theek ho jayegi. Fir usne bataya ki wah Bahrman se milne ja raha hai kynki wah pichhle do din se pneumonia se sankramit hai aur uske bachne ki sambhawana bahot kam hai. 

Agle din Sue Johnsy ke paas aayi aur kaha ki Mr. Bahrman ab nahi raha. Wah pneumonia se mar gaya kyunki wah toofani raat me bahar raha aur barish me bheeg gaya tha. Iske baad Sue ne Johnsy se kaha ki uss paudhe se aakhiri patta nhi gira kyunki wah asli patta nhi tha. Antim patta toh pahle hi gir chuka tha. Yah Bahrman ki masterpiece painting thi. Jisne usse Johnsy ki jaan bachane ki liye toofani aur barshaati raat me banaya tha. Bahrman ke issi balidaan ne Jhonsy ke jaan bachai.

Is article ko padhane ke liye dhanyavaad. mujhe ummeed hai ki yah article aapako 'The Last Lesson'  story ko aasaanee se samajhane mein madadkara hoga aur chapter ke baare mein aapake sabhee sandehon ko door kara hoga. kripaya ise apane doston ke saath share karen aur apanee class se sambandhit hamaare dusre article bhi padhen. Dhanyabad

No comments:

Post a Comment